Wednesday, September 10, 2008

See For You

HAR PAL IS DUNIYA ME INSAAN DHUNDTE HAIN HUMJISME INSAANIYET HO AISA SAKHSH NAHI PATE HAIN HUM AAJ EK GARIB KI LAASH PE BAITHI HUYEE MAA KO DEKHAKAFAN KI INTEJAAM ME TADPATE HUYE BAAP KO DEKHADEKHA HUMNE LOG ATALON SE YE MANJAR DEKH RAHE THEKUCH DABI DABI AAWAJ ME BAATEN KEH RAHE THE PAR KISI NE US MAA KO HIMMAT NA DIKISINE US LAASH KO KAFAN NA DIRAEESON KI MAYYAT ME LOG HAZAR DEKHA HAIKAFAN KI NA POOCH PURA BAZAR DEKHA HAIYE TO EK BAAT THI CHOTI SIBAHUT SI BAAT HUMNE DIN RAAT DEKHA HAIGARIB KI LADKI KO SAREBAZAR DEKHA HAIAMEER KI BEHAYEE KO BHI PARDANASEEN DEKHA HAIDEKHA HAI HUMNE BUDDE MAA BAAP KO ASHRAM BHEJTE HUYEAUR YE BHI DEKHA HAI MAA BAAP KO TUT KAR ROTE HUYE HAR PAL IS DUNIYA ME INSAAN DHUNDTE HAIN HUMJISME INSAANIYET HO AISA SAKHSH NAHI PATE HAIN HUM DEKHA HAI HUMNE BUDDE MAA BAAP KO ASHRAM BHEJTE HUYEAUR YE BHI DEKHA HAI MAA BAAP KO TUT KAR ROTE HUYEDEKHTI HOON LOGON KO DIL HAATH ME LIYE GHUMTE HUYELEKIN DEKHA NAHI KABHI KISI KO MUHABBAT SE MILTE HUYEHAR CHEHRE PE CHEHRA HUMNE HAJAAR DEKHA HAIIS DUNIYA ME PAR NA KOI INSAAN DEKHA HAI

Koi manane ayega ya

Koi manane ayega ya nahin

Yeh soch ke rooth jaane seZara darte hain

Dil lagane ko log Khel samajte hainIs liye hum

Dil lagane sayZara darte hainHar shaks pehle hansa ke

Phir aansoo day jaata hayShayid is liye -

Aaj kal ye labMuskurane say Zara darte hain

Maa duniya ki sabse aazim daulat hai

Maa duniya ki sabse aazim daulat hai Maa musibat me gham qawar mayusi me umeed ki kiranaur kamzori ke waqt quvvat-va- hausla ata karti hai Maa ---mohabbat, rahem hamdardi ka sar chasma hai lafz MAAMAA hamare dilon ki ghairaiyon me hama waqt chipa rahte haijis tarah khusbo gulab ke phoolon ke dil se nikal kar fiza meinphail jati hai --isi tarah khushi aur gham me MAA ka lafz dil kigahraiyon se uth kar be -saqta hamare labon pe aa jata hai. MAA ke qadmon tale jannat haimaa ki asal qubsurat is ki mohabbat hai aur meri maa duniya kiqubsurat MAA haiMAA ke bagair ghar ek qabrastaan hai MAA ki god insaan ki pehla school hai MAA zindagi ki tareek rahon me roshni ka minar hai MAA se badhkar koi ustaad nahi MAA ki dua meri kamiyabi ka raz hai MAA ki mohabbat phool se zyada taaza aur qubsurat aur sundar hai....

Kya khbar thi wo achnak hi juda ho jay ga

Kya khbar thi wo achnak hi juda ho jay gaKabhi mujh per marta tha kisi aur pe fida ho jay ga Ek isy hi to chah tha apni zaat se bhar kerYye socha bhi na k mery liye saza ho jay ga Tamaam umer mery sath guzaarne ka wada kiya tha jis neWo bus do pal hi sath guzarele to her wada wafa ho jay ga Main nahi poochon ga is se kabhi mujhy chorne ka sababMery ye poochne per shayid wo mujhse khafa ho jay ga Her waqt na sahi chund lamhe to yaad kery ga mujhyBus is bahane meri mohabbat ka haq aada ho jay ga Main to isi main khush hon k wo khus hay wernaUtha lon ager hath dua k liye to wo ab bhi mera ho jayga

Read For You (Ajeeb larka hoon )

Ajeeb larka hoon khud ko jalana chahta hoon Main khud ko rakh kar key kahin bhool jana chahta hoon

Mere naseeb ki khushiyan bhi kab mili mujh ko Bas AB to umer bhar aansoo bhahana chahta hoon

Najane kitni Mohabbat hai ranj-o-gham se mujhe Koi bhi dard ho dil main chupana chahta hoon

Baha baha key ye aansoo bikher chuka hoon bahot Simat key zaat main AB muskurana chahta hoon

Jise ek umer dil main chupa key rakha hai Wo raaz aaj main sab ko batana chahta hoon

Wahee hai yaad Jo acha kaha hai logon NE Baqi sarey sitam bhool jana chahta hoon

Mujhe zamane NE pather samaj liya hai Main ek larka hoon sab ko batana chahta hoon

Jo mujse rooth chuki hain zamane ki khushiyan To main bhi un khushiyon se rooth jana chahta hoon

Tu apne Dil ka her ek darwaza ko khool de Main dard ban ker tere dil main aana chahta hoon